*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-
Face
Kay Daanay Theek Karnay Ki Tarkeeb:
- Kalli mirch ko
bheego kar methi kay burtan par ragar kar face par laganay say
daanay theek hotay hain aur tukleef bhi nahi hoti.
- Raat ko sonay
say pahlay face par ballie laga lain, iss say face mullaim rahay
ga aur daag dhubay bhi saaf hojaingai.
- Haldi ko pees
kar dahi mai mila lain, phir cream ki tarha face par mal kar 15
min baad dholain.
- Face par Kharboze
ka goda lay kar laga lain, mahasay aur daanay dor honjaingai aur
face par shaguftagi aa jai ge.
- Phitkarry ko
pani mai bheego kar iss kay pani say din mai 3-4 bar face dhonay
say bhi keel mahasay dor hotay hain.
- Lemon ka juice
har roz subha before breakfast pinay say bhi keel mahasay dor
hotay hain.
- Subah face dhonay
kay baad face par thanday pani kay chapkay maarain iss say aik
to daanay khatam hongay doosray face par shaguftagi paida hogi.
*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-
Face
Ki Khuskee Dor Karnay Ki Tarkeeb:
- Badamoon ko pani
mein bheego kar face par laga lain iss kay baad unghlioon say
mal mal kar utar dain,phir pani say dholain.
- Aksar sardioon
kay zananay mai hathoon aur face ki jild phat jati hai, iss kay
liay lemoo,glycerin aur urk-e- gulaab teeno ko mila kar lagain,jild
saaf aur naram ho jai ge.
*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-
Face
Ko Shahdaab Rakhnay Ki Tarkeeb:
- Subha breakfast
say qabal aik glass neem garam pani mei aik lemoo ka rus milakar
pinay say face shahdaab hota hai aur rangat nikharti hai.
- Masoor ki daal
mei elaichi shamil kar kay issay doodh kay sath milakar face par
lagain aur 2 hours kay baad kissi achay soap say face ko dholain.
*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-
Jhuriyan
Dor Karnay Ki Tarkeeb:
- Safaid tiloon ko doodh mei mila kar raat ko sotay
waqt face par lagain aur subha face kissi achay soap say dholain.
*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-
Makeup
Mein Gardun Ko Na Bhoolain:
*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-